Marziya recites this noha by heart..
Ae Rabbe jahan punjtan e paak ka sadqa
Iss qoum ka daman gham e shabir say bhar day.
Bachoon ko aata ker Ali Asghar ka tabassum
Burhoon ko Habib Ibn e Mazahir ki nazar day.
Kamsin ko milay walwalaye auno Muhammad
Har eik jawan ko Ali Akbar ka jigar day.
Maoon ko sikha saniy e Zahra ka saliqa
Behnoon ko Sakina ki dua’oon ka asar day.
Maula tujhay Zainab ki asiri ki qasam hai
Bay jurm asiroon ko rahai ki khabar day.
Jo chadar e Zainab ki azadar hain mola
Mehfooz rahein aisi khawateen kay parday.
Jo deen kay kam aayein woh aulad aata ker
Jo majlisay Shabir ki khatir ho woh ghar day.
Muflis pay zaro lal jawahir ki ho barish
Maqrooz ka har karz ada ghaib say ker day.
Gham koi na day humko siwa e gham e Shabir
Shabir ka gham bant raha hai to idhar dey.
Aie Rab e jahan panjtan e pak ka sadqa
Is kom ka daman gham e shabir say bhar day.
Wednesday, September 11, 2013
Aay Rubbay Jahan Punjtan e Pak Ka Sadqa
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.